Asach aapla kahitari

Asach aapla kahitari
:)

Wednesday, 15 June 2016

Muskurahat ka safar





Aap mujhe khana mat dijiye, pani mat dijiye..sab chalega, par Internet ? Nahi! Nahi reh sakti me Internet ke bina. Matlab agar hostel me Rachana Bagde apne room me na dikhe toh janlijiye ki Internet nahi aa raha hai. Saturday ki raat se internet gayab tha, aur next day kyuki sunday tha internet ke aane ke koi aasar bhi nahi the. Ek pura din - No Internet, Nightmare! Kya karu pura din ? 
Bahut sochne ke baad plan banaya movie jati hu. Movies aur me - ye bhi ek alag rishta hai. Mera bas chale toh har friday koi na koi movie dekhne jau.
So mera freind Sam (nahi kalpanic naam hai, sam bhi bhala koi nam hai) mujhe direct theatre me milne wala tha aur mujhe pohochana tha waha 6 baje tak, bhai 6:20 ka show tha. Is mahine, maine tay kiya tha ki paise save karne ki koshish karungi. Agar me Mall tak direct auto leti toh mujhe Rs.70 lagte. Agar yaha save karna tha, toh (let's say - spots A,B,C)A - B [Rs.10],B-C[Rs.10],C-Mall[Rs.10] = Rs.30. Second option better laga. Maine socha 5:30 tak hostel se nikalungi toh aaram se time pe pohoch jaungi. Par nahi, nikalane me 5:40 ho gaye, gate pe A-B ke liye ek bhi auto nahi mila ; 5:50 hogaye yahi.
Ab socha chodo, direct auto leti hu Rs.70 wala, par Rs.60 me jaungi, atleast Rs.10 bachane ki koshish karti hu. 
Ek auto mila, aur vo Rs.60 me maan bhi gaya.

Ab kuch beech raste me Auto wale bhaisahab ko phone aane lage. Unki baton se laga, jaise unko kahi toh urgent pohochana hai.
Thodi der baad vo mujhe kehte hai - Agar me aapko Rs.30 me Mall tak pohocha du toh chalega ?

Cut to : Ek past event
Isse kuch 2 mahine pehle, Pune ke railway station par jab akele apna saman lekar train ka intezar kar rahi thi, utani bheed me ek sadhu-baba types vyakti mere paas aaye aur kuch puch rahe they, meri samajh nahi aayi, maine unse kaha aap kisi aur se puch lijiye, mujhe nahi pata. Vo vyakti wahi khade rahe, aur kuch der baad, mere bahut kareeb aakar ek bahut gandi line boli - jo me kabhi keh bhi nahi sakti. Agar aisa kuch hota hai toh normally ladkiya chata laga deti hai, aur aisa nahi hai ki me nahi laga sakti thi, par uski vo line sunkar andar tak kaap gayi thi me, bahut darr gayi thi me aur mere muh se
kuch nahi nikala, me waha se seedhe nikalkar waiting room me aa gayi. Bas aansu tapakne baki they.
Ek sadhu k vesh me agar koi apni bacchi ki umar ki ladki ko aisa kuch keh sakta hai, toh yakeen maniye - kuch bhi ho sakta hai.
Us din se kisi bhi insaan par aasani se bharosa nahi hota. Har kisi pe shak hone lagta hai.

Toh auto wale uncle ki baat kuch samajh nahi aayi, achanak Rs.30 kya ? kyu ? kaise ?    
Uncle kehte hai mujhe kahi urgently jana hai, aapko mall tak nahi chod sakta, par beta aapko (A-D-Mall) D tak chod deta hu, waha se kuch Rs.10 me aap mall tak pohoch jaoge aur wo bhi jaldi- ye alag shortcut hai. Me toh pehle hi late ho rahi thi, maine kaha D mere liye nayi jagah hogi aap mujhe waha se auto me bitha dijiyega ? Ispar unhone kaha, haan me aapko sahi se bitha ke hi jaunga. 
Achanak mera CID wala dimaag mujhe satane laga. 
Kya ho agar, ye insaan mujhe D bolkar kisi khandar jagah le jaye, ho sakta hai vo phone calls sab nakali ho - mujhe phasane ke liye.
Maine thodi der baad socha, agar thoda sa bhi shak ho ki ye insaan kisi galat jagah le ja raha ho aur bheed se dur ja raha ho, toh wahi utar jaungi. Ye toh yaad hai usne kuch Rs.30 bola tha, par usne kaha tha Rs.30 me Mall pohoch jaoge, par vo kitana lenge - uspe kuch baat nahi hui thi. Maine socha apna hi profit dekhega Rs.30 hi le lega, aur mujhe chalega bhi. 
Pure raaste bhar me dekhti rahi, hum kisi anjaan jagah nahi na ja rahe. Kuch der baad usne ek alag turn liya, meri saanse ruk gayi.
Aur jab tak me kuch kehti, unhone khud kaha - ye hai D, yaha se aapko auto mil jayega Mall ke liye, me aapko auto me bitha deta hu, aur unhone ek auto wale se auto chalate chalate baat bhi kar li aur mujhe kaha aap us auto me chale jaye aur haan jate jate ek mandir padega, sundar mandir hai, vo bhi dekhte jana, mujhe Rs.20 de do aur use Rs.10 de dena.
Thodi der ke liye laga, ye kya hua? Shit! me pure raaste bhar jis insaan ke bare me pata nahi kya kya sochti aa rahi thi, vo toh kitna bhala nikala,
agar vo mujhe Rs.40 bhi dene kehta toh me de hi deti, vo apna profit dekh sakta tha, par usne aisa kuch nahi kiya. 
Mujhe samajh nahi aa rha tha, mere dare-sehme dil ko achanak shant karne wale is shaks ko kaise thankyou kahu. Maine bas jate jate smile kiya, ek genuine, insaniyat pe vishwas vapis aa gaya - wali smile. Unhone bhi return smile kiya.
Ab D-to-Mall, dusre auto wale ne kuch aur logo ko bitha liya, 2 aurate aur 2 chote bacche, uname ek baccha kuch 6-7 saal ka hoga, vo mere saamne aakar baith gaya, bar bar vo apna hath bahar nikalta, aur me uska hath undar kar deti - kehti beta hath bahar nahi nikalo, uski mummy unke dusare bacche ke sath busy thi.
Vo baccha meri taraf aise smile karta tha, jaise hum ek dusre ko pata nahi kitane salo se pehchante ho. Me bhi return me use smile karti.
Bas, aur mera Mall aa gaya.
 Time : 6:13,
 6:17, hum hall ke undar, aur 6:20 movie started! 

Kabh kabhi anjaan log, apne se lagne lagte hai.

No comments:

Post a Comment