Asach aapla kahitari

Asach aapla kahitari
:)

Wednesday, 17 August 2016

That was sweet :)




Do din se man thoda sa sad tha. Thakan si thi, physical nahi mental, vo hota hai na jab samajh nahi aa raha hota kya ho raha hai ? bas dimaag ke ghode dodao jitni dur tak ho sake utni dur tak, par thak har ke vapis jaha se shuruwat ki thi wahi aakar theherna padta hai.



Aur vo log hote hai na jinke chehre pe saaf nazar aata hai unke dimaag me kya chal raha hai, me unhi idiots me se ek idiot hu. Mera chehra mere dil ka aayna hai, sab kuch nazar aa jayega.

Bank gayi thi, paise transfer karne they. 
Bank ka issue kuch mahine pehle ho gaya tha, jiske silsile me Papa aakar bank manager se mile they. Toh basically vo mujhe jante they. Ab jante they matlab aisa nahi hai, ki jab bhi me bank jau me unse baat karti hu, nope! Bas jante they.

Aaj jab Cash counter pe khadi thi, maine toh unke pas dekha tak nahi tha.
Anyways, jaise bataya, pareshani aur udasi mere chehre pe ab bhi thi. Par kisko kya padi hai ?
Actually mujhe bhi kuch nahi padi hai, kyuki ye mere liye normal hai. Mahine ke 30 dino me me kuch 12 din hi khush dikhti hu, baki sare din aisa hi kuch haal hota hai, toh hua na normal ? Ye mera ek adbhoot talent hai!

Thodi der baad college ka aur dusra kam kar ke hostel vapis aayi, ghar se missed calls they. Vapis call kiya. Maine mummy ko bataya - "Paise kar diye transfer."
Is par unka question aata hai - "Tu thik toh hai na ?"
Ab mera dimaag shuru -  Achanak aise kyu bhala pucha ? 
"Haan."
Mummy - "Kya kar rahi thi ?"
                 "Tabiyat toh thik hai na ?"
                 "Koi problem hai ?"
"Arrey. Nahi..kyu ?"

Mummy - "Tumhare college se bank manager ka call aaya tha Papa ko, vo bata rahe they tu bahot pareshan aur sad lag rahi thi. Apni beti ka khayal rakho."

I had that aww wale tears in my eyes listening to this :) 

Kaise na ? 
He is the manager, vo pura time busy rehte hai, phir bhi unhone mujhe notice kiya aur time nikal ke papa ko call bhi kiya. Ye logo ki khubsoorti na mujhe sabse jyada khush karti hai.

Ye sunke sari thakan ud gayi.
Mujhe jab koi insaan accha lagta hai, me unko duaye deti hu.
Manager uncle aur unki family humesha khush rahe. Dil se :) 

No comments:

Post a Comment